Sunday, 2 October 2016

ENERGY DRINK PEENE SE HO SAKTA HAI NUKSAN

Caffeine Par Nirbharta
Yeh baat samanya hai ki caffeine ki matra energy drink me mili hui hoti hai,,energy drink ko peene se pata nahi chalta hai ki humare shareer me caffeine ki kitni matra pahochi hai. ek bar shareer ko caffeine ki lat lag gayi to kai tarah ki samasyaen bhi khadi ho sakti hai. isliye ise na peena he behtar hai.




Neend Na Aana
Energy drink ko peene se zyada energy aane ki wajah se Raat me neend na aane ki samasya ho sakti hai.Shareer aur dimag thak jate hai. lekin neend nahi aati jiske chalte uljhan hoti hai. Jo log roz energy drink peete hai unhe aisi samasya aksar ho jaati hai.




Mood Par Prabhav
Research se yeh baat sabit ho chuki hai ki energy drink peene se insaan ke mood par prabhav padhta hai aur uska mood swing hota rehta hai. iske sewan se shareer me feel good karne wala serotonin ghat sakta hai. jisse jyada energy drink peene wale ko depression ho sakta hai ya uska mood ukhda ukhda rehta hai.




Sugar Bad Sakta Hai
Energy drink me bharpoor matra me sugar mili hoti hai ek drink me lagbhag 13 spoon chini( sugar) hoti hai Jo sugar level ko badha deti hai. jisse kayi tarah ki gambheer samasyaen hone ka khatra rehta hai. iske sewan se dehydration, pratiraksha pranali par prabhav, kharab daant aadi par bhi asar padh sakta hai. 

0 comments:

Post a Comment