Monday, 31 October 2016

VRAT ME KYA KHAYEN IN HINDI

Dahi
Paneeer, chhena, chhaachh, dahi navraatro ke vrat ke dauran zarur lena chahiye garmiyon me inke sewan se pani ki kami poori hoti hai aur shareer ka taapman bhi santulit rehta hai.






Raamdana
Raamdana ya amaranth superfood mana jata hai ye na kewal poshan se bharpoor hota hai balki inme calorie ki matra bhi kam hoti hai.




Aaloo
Carbohydrate se bharpoor aaloo khane se urjaa milti hai agar vrat ke dauraan meetha kha kar bor ho chuke hai to aaloo ki tikki 
ya sabzi bhi kha sakte hai.




Fruits
Phal khane ka man na kare to fruit chat bana kar kha sakte hai ya fir 
shakes, smoothies ya juice piyen.inse apko poshan bhi milega aur bhook 
bhi kam lagegi aur mood bhi fresh rahega.




Saabudana
Sabudana ek tarah ke paudhe se nikle jane wala padarth hai jisme starch 
ki matra kaafi zyada hoti hai. isme carbohydrate aur protein ki matra 
bhi hoti hai.




Kuttu Ka Atta
Kuttu ka atta ek paudhe ke safed phool se nikalne wale beej ko pees kar 
tayyar kiya jata hai log ise vrat me khate hai, kyunki na to ye anaaj hai 
na hi vanaspati.




Sendha Namak 
Vrat me log saade namak ki jagah sendha namak khate hai sendha namak 
pahadi namak hota hai aur vrat ke khane me shamil kiya jane wala sabse 
shudh namak mana jata hai. yeh kam khara aur iodine mukt hota hai.




Singhaada
Singada ek tarah ka fal hota hai jisme fibre,,vitamins,,and minerals paye 
jate hai vrat me ise khane se poshak tatva poore hote hai.




Dry Fruits 
Dry fruits kheer me daal kar ya laddu me mila kar khayen. badam ki chikki 
khane se bhi apko bharpoor urjaa milegi sath hi lambe waqt tak apko bhook 
nahi lagegi. 

0 comments:

Post a Comment