
aaj ham aapko yoga ya excercise ke saath saath apne khan paan ko sahi karke bhi stress ko kaise door kar sakte hai. uske baare me kuchh tips dene ja rahe hai jaise ---
Aakhrot Khayen

Coffee Piyen

Neembu Istimal Kare
Neembu me kaafi matra me vitamin C hota hai. jo happy harmone banane me sahayak hota hai. Stress hone par ek glaas
neembu pani piyen aapka bigda hua mood theek ho jata hai.
Meetha Bhi Khaye
Meetha khane se aapko energy milti hai. Chocolate, ice cream,
cake aur pastry jaisi meethi cheez khane se body ko energy milti
hai. lekin ise jyada khane se health ko nuksan bhi ho sakta hai.
Kela Khaye
Kela khayen kyuki kela nerves system ko sahi karta hai kele me
potassium aur magnessium hota hai. Kele me maujood carbohydrate
der tak mood achha rakhne me madad karta hai aur sugar energy deta hai.
Fish Khayen
Fish ka sevan faydemand hota hai kyuki fish me kafi matra me
omega 3 fatty acid hota hai jo happy harmone andorfin ka level
badhata hai. Jo mood achha banane me madad karta hai.
Egg Khayen
Jo log egg kha sakte hai wo egg ka sevan kare kyuki Isme zinc,
vitamin B, iodine aur protein ki achhi quantity hoti hai. Jiski wajah
se ye brain function behtar banane aur mood theek karne ka kaam
bhi karta hai.
Pasta Khayen
Isme healthy carbs aur protein kaafi matra me hota hai. ise khane
se body ko energy milti hai aur mood achha karne wale harmone ka
level badhta hai.
0 comments:
Post a Comment