Wednesday 2 November 2016

MAIDA JYADA KHANE KE NUKSAN IN HINDI










Motapa Badaye
Zyada maida khane se shareer ka wazan badh jata hai aur aap obese hone lagte hai. isse cholesterol ka level aur khoon me triglyceride bhi badhta hai agar apko wazan ghatana hai to diet se maida hatana hoga.




Protien Nahi Hota
Maide me gluten hota hai. jisse food elergy hoti hai. gluten khane 
ko lachila bana kar usko mulayam texture deta hai. aap genhu ka 
aata khayen usme bahut sara fibre aur protein hota hai.jo maide 
me nahi hota.




Pet Ke Liye Nuksan
Maida pet ke liye isliye kharaab hota hai kyunki isme bilkul bhi 
fibre nahi hota. isliye ise khane se kabz ho jata hai.





Haddiyan Kamzor Hoti Hai 
Maida banate waqt isme se protein nikal jata hai aur yeh acidic ban 
jata hai jo haddiyon se calcium ko kheench leta hai. isse haddiyan 
kamzor ho jati hai.




Gathiya Aur Dil Ki Bimari
Jab blood sugar badhta hai to khoon me gulocose jamne lagta hai. 
isse body me chemical reaction hota hai. jisse gathiya aur dil ki bimari 
ho jati hai.





Baar Baar Bimari 
Maide ko rozana khane se body ka immune system kamzor ho jata hai 
aur bar bar bimariyan hone lagti hai.

0 comments:

Post a Comment