
Galat joote pahenne se apke pairon me dard, hip pain, jodon me dard ya kandhe me dard shuru ho sakta hai. isliye daudne se pehle joote check kar le ki comfortable hai ya nahi. sahi joote pahnenge to bina dard ke lamba daud payenge.
Tez Na Daude
Jo log running pahli baar shru karne ja rahe hai. wo shru me hi tezi ke
sath bhaagne lagte hai, jisse aage jaake buri tarah se thak jaate hai, isse
running apke liye ek kathin kaam ban jaati hai. isliye dheere dheere apni
daudne ki speed ko badaye.
Asaan Goal Banaye
Aksar log josh me aakr lamba daudna shuru kar dete hai, lekin dhyan rakhna
hai ki apka competition khud se ho. agar aap naye hai aur ek baar me hi 5 km
daud lena chahte hai to bahut nirasha milegi. isliye daudte time chhote chhote
goal banaye.
Adiyan Kam istimal Karein
Running ke dauran kabhi bhi zameen par zor se aediyon ka dabao nahi dalna
chahiye. isse shareer par dabao bhi badega. yeh galti har koi karta hai. isse apke
jodo aur haddiyon me chot aa sakti hai aur daudne se pehle kuch kha lena chahiye
khali pet nahi daudna chahiye.
0 comments:
Post a Comment