Thursday 3 November 2016

SANTRE,CHUKANDAR KE JUICE KA FAYDA






B.P. Control Kare

Santare aur chukandar ke juice me nitric acid aur vitamin C hota hai 
jo body me blood ko control rakhta hai yeh blood ko itna patla rakhta 
hai ki asaani se raktvahikaaon me beh sake. jisse b.p jyada na ho ya 
control me ho..




Alsar Me Faydemand
Santare aur chukandar ke juice se pet me ya muh me hone wale alsar me 
fayda hota hai. sath hi pet ke andurni jakham bhi bhar jate hai. is juice ko 
peene se anemia ki problem door ho jati hai.





Body Me Immunity Badaye
Santare aur chukandar ke juice me vitamin C, magnessium aur bahut se poshak 
tatvon ki bharmaar hoti hai. jo shareer ki koshikaaon par apna  prabhav dalta 
hai aur shareer ki pratirodhak chhamta ko badhata hai.






IN BIMAARIYON ME FAYDEMAND JUICE

PILIYA ME FAYDA:- Isme subah khali pet glaas ke chauthayi hisse ke barabar karele ka juice                                        piyen. Isse piliya me fayda hoga.


MIRGI  ME FAYDA:- Isme gaajar ka juice piyen. Mirgi rog me bahut fayda hoga.


MIGRANE ME FAYDA:- Ek cup me neembu ka ras aur adrak ka juice milakar piyen. ise kam                                              se kam 15 din tak piyen. Migrane ke dard me fayda hota hai.


MENTAL TENTION:- Kele me paya jane wala potassium tention ko kam karta hai.


BHOOK BADANA:- Neembu, mausami, narangi, papita in sabka juice bhook badhata hai.


ANEMIC HONE SE BACHE:- Anemia me palak ka juice piyen. Palak se anemic hone se bacha                                                       ja sakta hai. 

0 comments:

Post a Comment