Tuesday, 22 November 2016

SEENE KE DARD KA GHARELU ILAJ

Lehsun Se Fayda
Seene me dard kai vajah se ho sakhta hai. Acidity , gas, cough aadi ki vajah se ya fir dil ki bimari bhibek vajah hobsakti hai. Lehsun me kai aise labhkari gun hote jo dil ki bimari me fayda karte hai. Daily ek lehsun ki kali subah me khane se kaafi fayda hota hai.




Tulsi Se Fayda
Tulsi ek natural medicine ban sakti hai aapki sehat ke liye. Tulsi khane se body me magnesium ki matra bad jati hai. Isliye tulsi ki 
pattiyon ko subah subah khana chahiye.






Haldi Se Fayda
Haldi kai tarah ki bimariyon me fayda karti hai. Haldi antibietic ke taur par bhi kaam karti hai. Haldi ko khane me aur doodh me dalkar peene se fayda hota hai.




Methi Ke Dane Faydemand Hai
Seene  me dard hone par methi ke daane bhi bahut fayda karte hai. Methi ke daano ko raat me pani me bhigo dein. Subah bhige hue pani ko chhan lein aur paani ko pee jaye. Ye karne se seene me jalan ya dard me araam milta hai.




Mulethi Se Fayda
Seene me jalan cold hone par ya jyada cough hone bhi ho sakta 
hai. Iske liye mulethi bahut faydemand hoti hai. Mulethi ko choosne 
se isme se jo ras nikalta hai wo seene me araam deta hai. Gale me 
kharash aur khansi me bhi araam milta hai.

1 comment:

  1. Mry left side pa aksar drd rehta kbi kbi to pgal hota hon ajeb ajeb sa khayal zahan ma,aty hn plz koi elaj

    ReplyDelete