
Jyada mota takiya rakhne se kharrate aane ki samasya aa jati hai kyuki mota takiya rakhna se gardan chin ki taraf jhuk jati hai. jisse saans sahi tarike se nahi li jati hai aur kharrate aane lagte hai. Isliye takiya na jyada patla ya na jyada mota rakhna chahiye.
Gardan Me Dard

Cervicle Spondylitis Ki Problem

Allergy Hona
Hamesha se rooi ke takiye ka chalan raha hai. Lekin kai logo ko
rooi ke takiye se allergy hone ki shikayat ho jati hai. Aise me naak
aur aankh me infection ki shikayat ho jati hai. Aise log fibre ka
takiya use karke allergy se bach sakte hai.
Pimples Hona
Ji han takiya se pimples hone ka bhi khatra rehta hai. Wo isliye ki
kai log takiye ke cover ko kai dino tak dhote nahi hai jisse cover
ganda ho jata hai aur usme bacteria ho jate hai. Raat me usi takiye
ka istimal karne se bacteria ki wajah se pimples ho jate hai.
\
Blood Circulation Sahi Na Hona
Blood circulation theek nahi rehta hai agar aap uncha takiya rakhte
hai. Isse pet aur skin se judi samasya ho jati hai.
Hard/Soft Ya Chauda Takiya
Takiya aapke comfort ke hisab se hona chahiye. Jyada hard ya soft
bhi nahi hona chahiye. Takiye ki chaudai bhi apke kandhe ke hisab
se honi chahiye. Jisse aapke kandhe ko poora support mile.
0 comments:
Post a Comment