Monday 5 December 2016

ADRAK KE FAYDE IN HINDI

Muhanso Me Fayda
Adrak ke istimal se chehre ke muhanse bahut jaldi door ho jate hai. adrak ko nimbu aur shahad ke sath istimal karne par bahut si samasyaon ko door kiya ja sakta hai. muhanso ke liye adrak ko ghiskar usme 1 chammach neembu ka ras aur 2 chammach shahad milakar iska pest bana lein. is pest ko 30 min. tak fridge me rakhe aur fir isko chehre par laga lein. lagbhag 15 min. baad chehra dho lein. muhanse bahut jald door honge.




Dandruff Se Chhutkara
Agar aapke sir me dandruff hai. adrak dandruff me bhi faydemand hai kyuki iske antiseptic gun infection aur dandruff ko door karne ke kaam aate hai. adrak ke tel ka istimal karke scalp ki is samasya se bacha ja sakta hai.




Moisturiser Ka kaam Bhi Karta Hai
Adrak,shahad aur glycerine ka mixture ek natural moisturise ke 
taur par kaam karta hai. adrak ko ghis lein fir usme 3 chammach 
shahad mila dein aur isko aadhe cup glycerine me milakar pest 
bana lein. ab isko chehre par laga lein aur sookhne ke baad paani 
se dho lein.





Skin Me Glow
Adrak ka istimal jaroor kare kyuki adrak me kaafi matra me antioxident 
hote hai jo blood circulation ko badane me madad karta hai. jisse toxcin 
kam hote hai aur skin me glow bana rehta hai.




Baal Badne Me Fayda
Adrak ka istimal hamare scalp ke blood circulation me madad milti hai. 
jisse baal lambe hote hai. isme phosphorus, zinc aur vitamin rookhe aur 
do muhe baaloon ki samasya ko door karne me madad karte hai.

0 comments:

Post a Comment