Tuesday 20 December 2016

GALE KE DARD KA GHARELU ILAJ

Elaichi Se Fayda
Elaichi ke bahut se fayde hote hai. Gale ke dard aur tonsil me bhi elaichi bahut fayda karti hai. Elaichi ko pani me bhigokar garara karne se gale ki kharash door ho jati hai.




Aam Ki Chhal Se Fayda
Aam ki chhal ka istimal gale ki kharash ko door karne ke liye bhi kiya jata hai. Aam ki chhal ko peesen. Jab peesenge tab chhal 
me se tel jaisa liquid nikalta hai. Isko pani me mila lein aur is paani 
se garara kare. Jaldi hi fayda hota hai.





Methi Se Fayda

Methi ka istimal gale ke dard ko door karne ke liye bhi kiya jata hai. Methi ko pani me ubale fir isko thanda hone dein. Jab pani halka garam reh jaye tab ise chhankar is pani se garara kare.



Gale Me Dard Hone Par 
* Gale me khushki ko na hone dein. Jyada se jyada pani piyen       aur juice jaisi liquid cheeze piye

* Namak ke gungune pani se garara kare. Isse gale ko araam milta hai.

* Soup, oats aur halwa jaisi mulayam cheeze khaye- piyen.

0 comments:

Post a Comment