Saturday, 31 December 2016

GREEN TEA JYADA PEENE SE NUKSAN

Green tea sehat ke liye kaafi achchhi mani jati hai. aapki skin aur digestion system ko sahi rakhne ke liye ya motapa kam karne ke liye bhi green tea ka istimal kiya jata hai lekin jyada green tea peene se ya galat waqt par green tea peene se nuksan bhi ho sakta hai.




Khali Pet Peene Se Kare Parhez
Green Tea me caffein hota hai. khali pet peene se gastric juice ko patla kar deta hai. jisse pet aur pleaha par kharab asar padta hai. bahut se log aisa mante hai ki khali pet green tea peene se jyada asar 
hota hai lekin aisa karne se bachen.



Khane Ke Turant Baad Na Piye
Green Tea peene ka agar dil bhi hai to khana khane ke fauran baad na 
piye kyuki green tea me caffein hota hai. jisse hamara digestion system 
par farak padta hai. green tea ko khana khane ke 1-2 ghante baad hi 
piyen to behtar hota hai.




Bina Doodh Aur Chini Ke Piyen
Doodh aur chini ke saath green tea peene se doodh me maujood protien 
aur chini me maujood calories green tea ke flavonoids se milkar negative 
reaction hota hai. jisse green tea peene se fayda nahi hota hai.
  

0 comments:

Post a Comment