Tuesday, 13 December 2016

IN CHEEZON SE HO SAKTI HAI SAANS KI PROBLEM

CHEMICAL
Aajkal room me airfreshner ka aksar istimal kiya jata hai. Air freshners ko banane me bahut sare aise chemicals ka use kiya jata hai jisse allergy aur asthma ho sakta hai.

BACHAV:- Tez khushbu wale air freshners ko avoid karen.




AATAA(Flour)
Jin jagah par aate ka jyada kaam hota hai jaise chakki. Aisi jagaho par apni naak par rumal jaroor bandh lein kyuki Jab aate ka powder udh kar saanso ke zariye body me jata hi to isse irritation aur saans lene  ki problem ho sakti hai.

BACHAV:- Aataa chakki par jane se pehle maask pehne.




GAADIYON SE NIKALNE WALA DHUAN
Har shaher me lagatar badti gaadiyon se nikalne wale dhuen se pollution badta hi ja raha hai. Gaadiyon se nikalne wale dhuen me kai tarah ki gases jaises hydrochloric acid chemical aur carbon dioxide, sulphur dioxide hoti hai. jisse hame saans lene me samasya ya asthma jaisi bimari ho sakti  hai.

BACHAV:- Pollution wali jagah par anti pollution mask lagaye.





CANDLE
Aaj bhi jin jagahon par light na aane ki samasya hai wanha mombatti yani candle jalane ki jaroorat padtu hai.Iske dhuen me carbon mono oxide hote hai band room me candle jalane se Allergy aur asthma ki samasya ho sakti hai.

BACHAV:- Band kamre me candle jala kar na baithe. Kamre me khidki ko kholkar ya ventilation hai to is samasya se bacha ja sakta hai.




Pets Animal
Aksar log ghar me dog ya cat jaise pet animal ko rakhte hai. Pets ke geele hone par isse aane wali smell aur inki dust se saans lene me problem ho sakti hai.

BACHAV:- paltu janwar ko chhoone ke baad hath zarur dhoyen inhe gandagi me na rehne den jab ye geele ho inse door rahe.


0 comments:

Post a Comment