Sunday, 25 December 2016

KALA NAMAK KHANE KE FAYDE

Gas Me Fayda
Kala namak gas se chhutkara dilata hai. Taambe ke bartan me kala namak dalkar gas par chadaye aur isko thoda sa chalayen jab kale namak ki rangat thodi change ho jaye tab gas band kar dein. 1 glass pani me adha chammach namak dalkar is pani ko piyen. Gas me fayda hota hai.







Seene Ki Jalan Me Rahat
Kala namak acidity aur seene ki jalan ko door karta hai. Acidity 
hone par kala namak peene se fayda hota hai.

Digestion Theek Karta Hai
Kala namak pachan kriya ko bhi theek karta hai. Jab aap namak ka 
pani peete hai to naamk ka paani mu me raal wali granthi ko active 
karta hai aur pet ke ander natural namak, hydroclorik acid aur protien 
ko pachane wale enzyme ko active karta hai. Jisse khana asaani se digest 
ho jata hai.








Cramp Me Araam
Kale namak ko apne khane me shamil karne se muscles me cramp nahi 
hota. Kyuki kale namak me potassium hota hai jo muscles ko theek se 
kam karne me madad karta hai.









Khushki Me Fayda
Kala namak khuski yani roosi me aur baal jhadne me bhi fayda karta hai.
Kala namak aur tamatar ka juice ko week me ek baar sir me lagaye. Isse 
roosi door hoti hai.



0 comments:

Post a Comment