Monday, 12 December 2016

PROTEIN KI KAMI SE HO SAKTI HAI SAMASYA

Wazan Jyada badhna
protein hamare shareer me bhook badhane wale harmons ko control karta hai.agar protein ki kami ho to bhook jyada lagti hai jiski wajah se hum jyada khate hai aur wazan jyada badhta hai.




Joints Pain
Protein ki kami se muscles aur joint me kamjori ho jati hai aur dard hone lagta hai.






Balon Aur Skin Ki Samasya
Protien ki kami se baal patle aur jhadna shuru ho jate hai aur sath hi skin ka niklana aur nakhoono ka kamzor hona bhi shuru ho jata hai.





Dimagi Samasya
Vicharon me baar- baar badlao hona,ek baar me koi faisla na le pane jaisi samasya bhi protein ki kami ki wajah se hoti hai.blood shugar me utaar chadhao bhi protien ki kami se hi hota hai. 




Kitna Hona Chahiye Protien
65 kg wale vyakti ki diet me 55 se 60 gm protien hona chahiye. yani 1 kilo wazan ke liye 80 gm protien hona jaroori hai.


0 comments:

Post a Comment