Thursday, 26 January 2017

DAALCHINI KE FAYDE IN HINDI

Pachan(Digestion) Ko Theek Kare
Daalchini digestion me bahut fayda karti hai. daalchini me anti-oxidant gun paye jate hai isliye 1 chammach daalchini ke use se pachan theek rahta hai. subah ke time iska prayog karne se jyada fayda hota hai. 





Blood Circulation sudhare
Daalchini me paye jane wale tatva khoon ko patla karne me bahut faydemand hote hai.




Urja Milti Hai
1 chammach daalchini ko pani me ubaal kar isko chai ki tarah piye.
isse thakaan door hoti hai aur urja bhi milti hai.





Dil Ki Bimari Se Bachao
Daalchini me anti-inflammatory gun hote hai jo colestrol ko jama 
hone se rokti hai aur dil ki bimariyon se bachati hai.




Sankraman( Infection ) Se Bachao
Daalchini ek uttam masala hai jo anti-microbial guno ke liye jani 
jati hai isliye ye sankrman paida karne wale fangas ko khatam karta hai.




Arthritis Me Fayda
Din me 1 baar gungune pani ke sath daalchini ka use karne se 
arthritis ke dard me bahut faydemand hai kyuki daalchini me 
anti-inflammatory gun hota hai.

0 comments:

Post a Comment