Monday, 23 January 2017

KIDNEY ME KHARABI AANE KE KAARAN


Urine Rokna
Urine ko rokne se bladder full ho jata hai urine riplaks ki wajah se urine kidney ki taraf a jata hai jisse bacteria kidney me jane lagte hai aur iski wajah se kidney kharab ho jati hai.




Pani Kam Peene Se
Kam pani peene ki wajah se  shareer me jama toxcins kidney 
funtion par asar dalte hai jiski wajah se kidney kharab ho jati hai.





Namak Ka Jyada Prayog
Namak me moujood sodium blood pressure badata hai jiska asar 
kidney par bhi padta hai.




Jyada Nonveg Khana
Jaroorat se jyada meat khane se kidney me stone ki samasya ho jati 
hai jisse kidney kharab hone ki ashanka rahti hai.




Jyada Dawaon(medicine) ka prayog
Bahut jyada antibiotic lene ya har chhoti samasya me pain killer lene 
se kidney par bura asar padta hai.




Nasheeli Cheezon Ka Sewan
Cigarette , tambaku ya phir sharab( alcohal) bahut adhik matra me 
peene se liver aur kidney dono par asar padta hai.  bahut jyada cold 
drink bhi kidney ke liye nuksaan dayak  hoti hai.

0 comments:

Post a Comment