
Sir me lagatar khujli hone ki wajah khushki yani roosi bhi hoti hai. Khushki ko jaldi door karne ke liye badam aur nariyal ke tel ko milakar baalo( hair ) ki jadon me scalp par achchhe se malish kare. Sir ki khujli me jaldi hi fayda hota hai.bazar me milne wale jyada khushbudar tel ka istimal na kare.

Nariyal Ka Tel ( Coconut Oil )
Narihal ka tel sir ki khushki ke liye bahut faydemand hota hai. Nariyal ke tel ke istimal se sir ki khujli bhi door hoti hai aur khuski nahi hoti hai.

Dahi ( curd ) Ka Istimal
Sir me khujli hone ki wajah gandgi bhi hoti hai. Dahi se sir ki scin par massage karne se baalo me chamak aati hai saath hi sir ki khujli me bhi fayda hota hai.

Neembu Ka Ras ( Leman Juice )
Sir me gandagi hone par bhi khujli hoti hai. Sir ki gandagi ko saaf karne ke liye neembu ke ras ko scalp par lagakar malish kare. Neembu me maujood citric acid sir ki skin me gandagi ko saaf karta hai aur baalon me chamak bhi lata hai.

Sir ki khujli ko door karne ke liye gende ke phool kafi madadgar hote hai. Gende me maujood anti-inflammatory aur anti bacterial gun sir ki khujli ko door karne me madadgar hote hai.
Nariyal Aur Kaapoor Se Fayda
Nariyal ke tel me kaapoor ke thodi si matra milakar sir me lagane
se sir ki khujli me fayda hota hai. Kyuki kaapoor ki taaseer thandi
hoti hai. jo sir ki khujli ko khatam kar deta hai.
Seb Ke Sirke Se Fayda
Sir ki khujli ko door karne ke liye seb ke sirke ka bhi istamal kiya jata
hai. Seb ke sirke ko halke garam paani ke saath milakar baalon ki jado
me lagane se khujli me fauran araam milta hai.
0 comments:
Post a Comment