Thursday, 23 March 2017

KAMRAKH KHANE KE FAYDE IN HINDI

Bhook Ko Badata Hai
Kamrakh khane se bhook na lagne ki pareshani door ho jati hai. Jin logo ko bhook kam lagti hai wo kamrakh ka 1 glass ras savere lein aur usme chini milakar isko 3-4 din piyen. Kuchh hi dino me bhook lagna shru ho jati hai aur khana khane ka man bhi karne lagta hai.





Daad - Khujli Me Fayda
Khaj khujli ki pareshani me kamrakh ka ped fayda karta hai. Kamrakh ke ped ki kuchh dandiyan aur sath me kuchh pattiyan le lein. 
In dono ko ek saath peeskar iska mixture bana lein. Iske mixture ko daad 
aur khujli wali jagah par lagaye. Jaldi hi fayda hoga.





Roosi( khushki ) Me Fayda
Kamrakh baalo me roosi me bhi fayda karta hai. Agar baalo me roosi 
jyada ho gai ho to kamrakh ka ras nikal le aur usme badam ka tel milakar
 mixture bana lein. Is dono ke mixture ko sir me lagaaye aur lagbhag 30-35  
min. me baal dho lein. Roosi me fayda hota hai sath hi baalo me chamak 
bhi aati hai.




Pet Ke Keedo Ko ilaj
Pet me agar keede ho jaye to kamrakh ka phool bahut faydemand hota hai. 
Kamrakh ke phool ka istimal karne se pet ke keede khatam ho jate hai.





Hangover Ko Khatam Karne Me Faydemand
Kamrakh ke phal ka ras bahut faydemand hota hai. Agar shrab jyada pee 
li hai aur uska nasha nahi utra hai to kamrakh ke phal ka ras peene se 
sharab ka nasha utar jata hai.


0 comments:

Post a Comment