Monday, 13 March 2017

PEEPAL KE FAYDE IN HINDI

Daad Khaaj Khujli Me Fayda
Peepal ki paatiyon se daad khaaj khujli me bahut fayda hota hai. Peepal ke 4-5  pattiyon khoob ko khoob chaba chabakar khane se aur iski chhal ka kaada adhe cup pani me peene se in bimariyon me fayda hota hai.





Daanto Ki Sadan Me Fayda
Peepal ki chhal se daanto ki sadan me fayda hota hai. Peepal ki 10-12 gm. Chhal, kattha aur 2-3 gm. Kali mirch ko  milakar pees lein aur iske powder ko daily daanto par manjan karne se daanto ki sadan, badbu aur masudon ki sadan ko bhi rokta hai.






Jhurriyon Me Fayda
Peepal ki jadon se chehre ki jhurriyon me bahut fayda hota hai. 
Peepal ki tazi jadon ke sir ko kaatkar paani me bhigokar peesna 
hai fir iske pest ko chehre par lagane se chahre ki jhurriyon me 
fayda milta hai. Peepal ki jadon me sabse jyada antioxidant paye 
jate hai.




Ghao Me Fayda
Peepal ke patton se ghao me fayda hota hai. Jyada ghehra ghao ho 
to tazi pattiyon ko garam karke thoda thanda hone par in pattiyon 
ko ghao me bhar dene se ghao jadli hi bhar jata hai.






Fati Aidiyon Me Fayda
Pairo ke fati aidiyon ke liye peepal ke patto se doodh nikalkar lagana 
chahiye. Jisse kuchh hi dino me fati aidiyan sahi ho jati hai.





Sardi-Jukam Me Fayda
Sardi jukam hone par peepal ke komal patto ko chhaon me sukhakar 
inko peeskar iska powder bana lein. 1/2 lit. Paani me iske 1 chammach 
powder ko dalkar ubal lein aur is kaade me mishri ko peeskar iske saath 
milakar is kaade ko peene se sardi jukam me bahut fayda hota hai.




Dama Ke Marijo Ko Fayda
Peepal ki chhal dama ke marijo ke liye faydemand hai. Iske liye chhal 
ke ander ke bhaag ko nikalakar usko sukha lein. Isko maheen peeskar 
powder bana lein. Ab is powder ko dama ko marijo ko dein. 

0 comments:

Post a Comment